aatma tarang

is des ki chahat fani hai
yan husn-o-wajahat fani hai

yan jang-o-raqabat fani hai
yan amn-o-iqamat fani hai

jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen

yan jins-e-taghayyur sasti hai
yan khauf-e-buland-o-pasti hai

fitrat bhi rahin-e-hasti hai
ye wahm-o-guman ki basti hai

jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen

phulon ki latafat jhuti hai
shabnam ki tarawat jhuti hai

ye prem ye chahat jhuti hai
ye rup ye rangat jhuti hai

jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen

sukh-des ko chal han der na kar
chal chhor chalen ye phut-nagar

rakh tez qadam bajta hai gajar
hai kitna mubarak apna safar

jis des mein aani raj nahin
us des mein chal sansar karen

wan gardish-e-subh-o-sham nahin
wan huzn nahin aalam nahin

aaghaz nahin anjam nahin
insan jahan nakaam nahin

aanand bhi ho aaram bhi ho
us des mein chal sansar karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close