us ki aamad ke tasawwur se sambhalti aawaz us ki qurbat ki tamazat se pighalti aawaz subh-dam shokh parindon ke chahakne ki sada band kaliyon ke nae rup ki khulti aawaz bahr-e-zakhkhar ki aadat hai ye thahra hua shor tez dariyaon ke pani ki machalti aawaz kohsaron ke chatakhne se garajne ki sada aur chashmon ki rawani se uchhalti aawaz gardish-e-khun mein rawan dil ke dhadakne ki sada ashk-e-khun-nab ke andar se ubalti aawaz kar-khanon ki mashinon ki milon ki aawaz gadiyon tangon bason cyclion ki aawaz bahr-o-bar kuchh bhi na hote ye jahan kya hota! gar ye aawaz na hoti to yahan kya hota