sher ke jadugar sangit ke sahir misron aur dhunon ke khali sipon ke kashkol uthae afsurda maghmum khade hain suni aankhon mein tuti ummid liye aawaz ke un nauras qatron ki jo khali sipon mein amrit ban kar tapken aur izhaar guhar ban jae lafz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar be-harkat be-jaan dhare hain un honton ki hasrat mein jin ki pechida tarsil khamida jumbish saut o bayan ko mani ki sau jihten bakhsha karti thi yaad mein us pur-nur dahan ki jis se ubalti tah-dar-tah aawaz ke raushan jadu se shabd suron mein ghul jate the nok-e-qalam se barbat ke taron tak jalte dagh aab-e-sada se dhul jate the (us ke dilkash git hawaon ke honton par sadiyon tak mahfuz rahenge) shor bhari duniya ki dukhi tanhai mein umr ki jis manzil pe jis jiwan ki dagar par jazbon ki jis rahguzar par dil ka musafir pal-do-pal ko thahrega us ki sada ke hamdam hath bujhi hui bezar samaat ke shane thapkenge man ka dukh bantenge ranj khushi mausam tyauhaar wasl judai dard qarar ummidon ki masti tute khwabon ki uljhan zulm baghawat ganw watan ahd-e-kuhan ke ramz nae yug ki tafsiren ishq ibaadat aaina-khane tanwiren har ghar har mahfil us ki aawaz ke moti baam-e-hawa se barsenge aah magar alfaz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar us ke dhun ke nae ujalon nae ufuq ko rahti duniya tak tarsenge
This is a great sahir ludhianvi shayari in punjabi. Please share if you liked this!!!