aaya mausam jaDe ka

sar se pa tak jism ko dhanpen aaya mausam jade ka
lekin phir bhi thar thar kanpen aaya mausam jade ka

pahle dhup nikalti thi to hum us se ghabraate the
hoti thi dopahar to bhayya kamron mein ghus jate the

suraj dhalta lu kam hoti tab hum bahar aate the
garmi se bachne ki khatir pankhe khub chalate the

garmi ka ab zikr nahin hai aaya mausam jade ka
pankhe ki ab fikr nahin hai aaya mausam jade ka

garmi se chhutkara paya to barish ne gher liya
kale kale baadal chhae din bhi aadhi raat laga

rim-jhim rim-jhim rim-jhim rim-jhim pani phir din raat pada
ghar se bahar kaam ko jaana logon ko dushwar hua

kali kali raat gai tab aaya mausam jade ka
rukhsat jab barsat hui tab aaya mausam jade ka

ab koi jacket pahne hai koi achkan pahne hai
koi sweater coat alistar muflar khub lapete hai

sar par uni shaal kisi ke koi kambal odhe hai
gharz ki jis ko jo hai mayassar us se jism chhupae hai

kitna hi sar se pa tak dhanpen aaya mausam jade ka
lekin phir bhi thar-thar kanpen aaya mausam jade ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close