aazadi

puchhta hai to ki kab aur kis tarah aati hun main
god mein nakaamiyon ke parwarish pati hun main

sirf wo makhsus sine hain meri aaram-gah
aarzu ki tarah rah jati hai jin mein ghut ke aah

ahl-e-gham ke sath un ka dard-o-gham sahti hun main
kanpte honton pe ban kar bad-dua rahti hun main

raqs karti hain ishaaron par mere maut-o-hayat
dekhti rahti hun main har-waqt nabz-e-kaenat

khud-farebi badh ke jab banti hai ehsas-e-shuur
jab jawan hota hai ahl-e-zar ke tewar mein ghurur

muflisi se karte hain jab aadamiyat ko juda
jab lahu pite hain tahzib-o-tamaddun ke khuda

bhut ban kar nachta hai sar pe jab qaumi waqar
le ke mazhab ki sipar aata hai jab sarmaya-dar

raste jab band hote hain duaon ke liye
aadmi ladta hai jab jhute khudaon ke liye

zindagi insan ki kar deta hai jab insan haram
jab use qanun-e-fitrat ka ata hota hai nam

ahrman phirta hai jab apna dahan khole hue
aasman se maut jab aati hai par tole hue

jab kisanon ki nigahon se tapakta hai hiras
phutne lagti hai jab mazdur ke zakhmon se yas

sabr-e-ayyubi ka jab labrez hota hai subu
soz-e-gham se khaulta hai jab ghulamon ka lahu

ghasibon se badh ke jab karta hai haq apna sawal
jab nazar aata hai mazlumon ke chehron par jalal

tafraqa padta hai jab duniya mein nasl-o-rang ka
le ke main aati hun parcham inqilab-o-jang ka

han magar jab tut jati hai hawadis ki kamand
jab kuchal deta hai har shai ko baghawat ka samand

jab nigal leta hai tufan badh ke kashti nuh ki
ghut ke jab insan mein rah jati hai azmat ruh ki

dur ho jati hai jab mazduron ke dil ki jalan
jab tabassum ban ke honton par simatti hai thakan

jab ubharta hai ufuq se zindagi ka aaftab
jab nikharta hai lahu ki aag mein tap kar shabab

nasl qaumiyyat kalisa saltanat tahzib-o-rang
raund chukti hai jab in sab ko jawani ki umang

subh ke zarrin tabassum mein ayan hoti hun main
rifat-e-arsh-e-barin se par-fishan hoti hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close