meri sada hai gul-e-sham-e-sham-e-azadi suna raha hun dilon ko payam aazadi lahu watan ke shahidon ka rang laya hai uchhal raha hai zamane mein nam-e-azadi mujhe baqa ki zarurat nahin ki fani hun meri fana se hai paida dawam-e-azadi jo raj karte hain jamhuriyat ke parde mein unhen bhi hai sar-o-sauda-e-kham-e-azadi banaenge nai duniya kisan aur mazdur yahi sajaenge diwan-e-am-e-azadi faza mein jalte dilon se dhuan sa uthta hai are ye subh-e-ghulami ye sham-e-azadi ye mahr-o-mah ye tare ye baam haft-aflak bahut buland hai in se maqam-e-azadi faza-e-sham-e-sahar mein shafaq jhalakti hai ki jam mein hai mai-e-lala-fam-e-azadi syah-khana-e-duniya ki zulmaten hain do-rang nihan hai subh-e-asiri mein sham-e-azadi sukun ka nam na le hai wo qaid-e-be-miad hai pai-ba-pai harakat mein qayam-e-azadi ye karwan hain pasmandgan-e-manzil ke ki rahrawon mein yahi hain imam-e-azadi dilon mein ahl-e-zamin ke hai niw us ki magar qusur-e-khuld se uncha hai baam-e-azadi wahan bhi khak-nashinon ne jhande gad diye mila na ahl-e-duwal ko maqam-e-azadi hamare zor se zanjir-e-tirgi tuti hamara soz hai mah-e-tamam-e-azadi tarannum-e-sahari de raha hai jo chhup kar harif-e-subh-e-watan hai ye sham-e-azadi hamare sine mein shoale bhadak rahe hain 'firaq' hamari sans se raushan hai nam-e-azadi