kanch ke khwab jaisi wadiyan thartharai hui dafatan maut ki wadiyon mein badalti gain kuchh nahin bach saka zakhm hi zakhm hain khun hi khun hai sang-o-ahan khas-o-khak ke dher mein zindagi nim madfun hai koi chaara nahin rah masdud hai han magar bebasi ke andheron se ladti hui ek nannhi kiran aansuon ki ladi mein chamakti hui jhilmilati hui ab bhi maujud hai dil khandar ho gaya phir bhi ummid ki lau nahin bujh saki khun-asham panjon mein jakde hue jism par dhire dhire lahu chusti maut ghaalib nahin aa saki sans lene pe israr karti hui sukhte ped ki ek tahni abhi sabz hai