shayad tumhaare aane ka aabhas sab ko ho chuka tha tumhaare wajud ki aahat pahchan li gai thi ghar mein phusphusate hue log ye bhul baithe the ki jis se ye paida hue hain wo kokh hi ek kokh mein pal rahi hai kal phir mujhe aspatal le jaya jaega kal ek aur zindagi khiska di jaegi usi raste utkon ki ek uljhi hui uljhan angon ke kaliyon ka ek tuta guldasta phenk diya jaega dustbin mein narsanhaaron ke aankde to bahut kam ho gae par ye aspatal safed maqbare hain ahankar aur udasinta ka surgical mask pahne hue glaws aur gown mein ghumte hue karghe mujhe anesthesia denge phir karenge mera abortion