jabin-e-waqt par likkhi hui sachchaiyan raushan rahi hain ta-abad raushan rahengi khuda shahid hai aur wo zat shahid hai ki jo wajh-e-asas-e-anafas-o-afaq hai aur khair ki tarikh ka wo bab-e-awwal hai abad tak jis ka faizan-e-karam jari rahega yaqin ke aagahi ke raushni ke qafile har daur mein aate rahe hain ta-abad aate rahenge abu-talib ke bete hifz-e-namus-e-risalat ki riwayat ke amin the jaan dena jaante the wo muslim hon ki wo abbas hon aun o mohamad hon ali-akbar hon qasim hon ali-asghar hon haq pahchante the lashkar-e-baatil ko kab gardante the abu-talib ke bete sar-burida ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain abu-talib ke bete pa-ba-jaulan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain abu-talib ke bete sarf-e-zindan ho ke bhi ailan-e-haq karte rahe hain madina ho najaf ho karbala ho kazimain o samira ho mashhad o baghdad ho aal-e-abu-talib ke qadmon ke nishan insaniyat ko us ki manzil ka pata dete rahe hain ta-abad dete rahenge abu-talib ke beton aur ghulman-e-ali-ibn-e-abi-talib mein ek nisbat rahi hai mohabbat ki ye nisbat umar bhar qaem rahegi ta-abad qaem rahegi
This is a great muslim shayari image. True lovers of aun o muhammad shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this abu bakr shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!