pyare bachcho tum ek kaam karo apni neki se paida nam karo ba-adab ba-nasib hota hai tum buzurgon ka ehtiram karo be-adab be-nasib hota hai is liye sab ko tum salam karo tum se naraaz ho agar koi apni baaton se us ko ram karo apne dushman se khud gale mil kar sare shikwe-gile tamam karo jis kisi se milo to hans ke milo narm lahje mein phir kalam karo rah mein jab mile koi majbur chhod kar apna us ka kaam karo baithne se jahan mile neki aisi majlis ka ehtimam karo khub mehnat karo padhai mein bas yahi kaam subh-o-sham karo apne kirdar ke sahaare tum ilm ka shauq sab mein aam karo ilm hi la-zawal daulat hai mushtahar bas yahi payam karo