mere raazdan meri aankhon mein dekho batao mujhe kya kahin khauf hai kya kahin koi khwahish machalti hui pa-barahna mili kya meri aankh ke bankpan mein naqahat to ubhri nahin mohabbat ka dhaga jo uljha hua hai kahin us ki surkhi to aankhon mein dikhti nahin mere raazdan meri baaton ko socho batao mujhe kya kahin in mein taqdir se koi shikwa bhi hai koi doghla-pan talaffuz ki ghalati kahin na-muradi ka be-wazn misra shaqawat tanaffur bhara koi jumla agar aisa hai to batao mujhe mere dna mein adakar lamhon ka paiwand hai mera fan musalsal hidayat hi ka to paband hai ye ek aan mein dukh chhupane lagega malamat-zada ye riya-kar chehra abhi dafatan muskurane lagega