chhan kar dekh li reg-e-dasht-e-ziyan dhundh pae na hum dusra aasman ajnabi mausamon ki udanon mein tute paron ki tarah hum jiye bhi to kya kis ne dekha hamein chashm-e-nam ke kinaron pe thahre hue manzaron ki tarah raat ki aankh se bah gae khwab bhi hum bhi madum ki an-suli nind mein yaad ke taq mein ab tamanna ki lo ka nishan tak nahin wahima sa hai bas koi aahat thi hamrah ya kuchh na tha khwab-e-hasti hamein ek aziyyat bhare dam-e-madumiyat ke siwa kuchh na tha