kal bhi meri pyas pe dariya hanste the aaj bhi mere dard ka darman koi nahin main is dharti ka adna sa basi hun sach puchho to mujh sa pareshan koi nahin kaise kaise khwab bune the aankhon ne aaj bhi un khwabon sa arzan koi nahin kal bhi mere zakhm bhunae jate the aaj bhi mere hath mein daman koi nahin kal mera nilam kiya tha ghairon ne aaj to mere apne beche dete hain sach puchho to meri khata bas itni hai main is dharti ka adna sa basi hun