aa jao ne sun li tere dhol ki tarang aa jao mast ho gai mere lahu ki tal aa jao africa aa jao main ne dhul se matha utha liya aa jao ne chhil di aankhon se gham ki chhaal aa jao mein ne dard se bazu chhuda liya aa jao main ne noch diya be-kasi ka jal aa jao africa afriqi khidmat pasandon ka nara panje mein hathkadi ki kadi bin gai hai gurz gardan ka tauq tod ke dhaali hai main ne dhaal aa jao africa chalte hain har kachhaar mein bhaalon ke marg nain dushman lahu se raat ki kalak hui hai lal aa jao africa dharti dhadak rahi hai mere sath africa dariya thirak raha hai to ban de raha hai tal main africa hun dhaar liya main ne tera rup main tu hun meri chaal hai teri babbar ki chaal aa jao africa aao babbar ki chaal aa jao africa