agar mujhe zaban mile to dil ki dastan kahun khud apne chaaragar se haal-e-sai-e-raegan kahun kahun ki kyun fasurdagi hai khema-zan bahaar mein dhanak ke rang kyun nahin hain aks-e-shakh-sar mein wo abr ban ke tairti hain kyun falak ke nil mein gae dinon ki kashtiyan jo hain nazar ki jhil mein alam-nasib doston ko kya hua wo sabz mausamon ke khwab kya hue wo surkh titliyan kahan gain main sab kahun main sach kahun main sari dastan kahun agar mujhe zaban mile agar mujhe zaban mile bataun sare dard jin ko pairahan mila na harf-o-saut ka sunaun sab kahaniyan wo sham sham rangaton ki an-kahi kahaniyan bayan karun wo qurbaten jo dil hi dil mein rah gain wo dhup dhup chahaten jo lafz bhi na ban sakin jo ashk ban ke bah gain agar mujhe zaban mile agar mujhe zaban mile to irtiqa ki sab hadon ko tod dun masih-o-krishn sarmad-o-husain ke tamam raaz khol dun azal abad ko jod dun kahun azal azal na tha kahun abad abad nahin ki us ki ibtida na thi ki is ki intiha nahin ye roz-o-shab ka silsila to koi silsila nahin ye parda-e-khayal hai magar ye silsila bhi mere nutq-o-lab ke bas mein ho ye meri dastaras mein ho agar mujhe zaban mile