aag ka zaiqa har zaban par sulagta hua zakhm tha raat ka aahani dar samundar ki jaanib khula aag hi aag thi qatra-e-ab pur-kar sa khwab tha raat ka aahani dar jahannum ki jaanib khula raston ne kaha kyun hujum-e-farawan ka anjam ibrat hua kaun ibrat ke ehsas ko manta maut ko zindagi zindagi ko jahannum fasana tamaskhur ka hairat hua ham-safar the wo ek dusre ke liye qurb un ka magar aatish-e-khauf tha mauj se mauj ladti hui mauj se mauj naddi ke aalam mein jaise dhalti hui khidkiyan rahguzar par muqaddar ki manind khulti rahen jo tamashai un ke andheron se ubhra wo jalta gaya wo to nanha tha masum tha us ko suraj ka ya chand ka aks sab ne kaha wo bhi jalne laga wo bhi bahte lahu mein pighalne laga wo to nanha tha masum tha wo masiha tha wo aakhiri nur tha us ki taqdir mein marg be-kar kyun aaj likkhi gai