ai baad-e-saba

ai baad-e-saba
mahbub se milne jaana hai

paigham mera pahunchana hai
par hadd-e-adab lazim rakhna

wo shokh jawan gar khwab mein ho
dhire se zulfen sahlana

bedar agar wo ho jae
to kahna salam-e-shauq mera

phir kahna ki diwani main
palkon ko bichhae baithi hun

milne ko bahut betab hun main
aur nind agar kuchh gahri ho

palkon ko haule se chhuna
rukhsar thapak dena un ke

diwar-o-dar par likh dena
ai jaan-e-ghazal main zinda hun

bas aap ki did ki khatir ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close