ai ishq na chhed aa aa ke hamein hum bhule huon ko yaad na kar pahle hi bahut nashad hain hum tu aur hamein nashad na kar qismat ka sitam hi kam nahin kuchh ye taza sitam ijad na kar yun zulm na kar be-dad na kar ai ishq hamein barbaad na kar jis din se mile hain donon ka sab chain gaya aaram gaya chehron se bahaar-e-subh gai aaankhon se farogh-e-sham gaya hathon se khushi ka jam chhuta honton se hansi ka nam gaya ghamgin na bana nashad na kar ai ishq hamein barbaad na kar hum raaton ko uth kar rote hain ro ro ke duaen karte hain aaankhon mein tasawwur dil mein khalish sar dhunte hain aahen bharte hain ai ishq ye kaisa rog laga jite hain na zalim marte hain ye zulm tu ai jallad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ye rog laga hai jab se hamein ranjida hun main bimar hai wo har waqt tapish har waqt khalish be-khwab hun main bedar hai wo jine pe idhar bezar hun main marne pe udhar tayar hai wo aur zabt kahe fariyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar jis din se bandha hai dhyan tera ghabrae hue se rahte hain har waqt tasawwur kar kar ke sharmae hue se rahte hain kumhlae hue phulon ki tarah kumhlae hue se rahte hain pamal na kar barbaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar bedard! zara insaf to kar is umr mein aur maghmum hai wo phulon ki tarah nazuk hai abhi taron ki tarah masum hai wo ye husn sitam! ye ranj ghazab! majbur hun main mazlum hai wo mazlum pe yun be-dad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ai ishq khudara dekh kahin wo shokh-e-hazin bad-nam na ho wo mah-laqa bad-nam na ho wo zohra-jabin bad-nam na ho namus ka us ke pas rahe wo parda-nashin bad-nam na ho us parda-nashin ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ummid ki jhuti jannat ke rah rah ke na dikhla khwab hamein aainda ki farzi ishrat ke wadon se na kar betab hamein kahta hai zamana jis ko khushi aati hai nazar kamyab hamein chhod aisi khushi ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar kya samjhe the aur tu kya nikla ye soch ke hi hairan hain hum hai pahle-pahal ka tajraba aur kam-umr hain hum anjaan hain hum ai ishq! khudara! rahm-o-karam masum hain hum nadan hain hum nadan hain hum nashad na kar ai ishq hamein barbaad na kar wo raaz hai ye gham aah jise pa jae koi to khair nahin aaankhon se jab aansu bahte hain aa jae koi to khair nahin zalim hai ye duniya dil ko yahan bha jae koi to khair nahin hai zulm magar fariyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar do din hi mein ahd-e-tifli ke masum zamane bhul gae aaankhon se wo khushiyan mit si gain lab ko wo tarane bhul gae un pak bahishti khwabon ke dilchasp fasane bhul gae in khwabon si yun aazad na kar ai ishq hamein barbaad na kar us jaan-e-haya ka bas nahin kuchh be-bas hai parae bas mein hai be-dard dilon ko kya hai khabar jo pyar yahan aapas mein hai hai bebasi zahr aur pyar hai ras ye zahr chhupa is ras mein hai kahti hai haya fariyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar aaankhon ko ye kya aazar hua har jazb-e-nihan par ro dena aahang-e-tarab par jhuk jaana aawaz-e-fughan par ro dena barbat ki sada par ro dena mutrib ke bayan par ro dena ehsas ko gham buniyaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar har dam abadi rahat ka saman dikhla ke hamein dil-gir na kar lillah habab-e-ab-e-rawan par naqsh-e-baqa tahrir na kar mayusi ke ramte baadal par ummid ke ghar tamir na kar tamir na kar aabaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar ji chahta hai ek dusre ko yun aath pahar hum yaad karen aaankhon mein basaen khwabon ko aur dil mein khayal aabaad karen khalwat mein bhi ho jalwat ka saman wahdat ko dui se shad karen ye aarzuen ijad na kar ai ishq hamein barbaad na kar duniya ka tamasha dekh liya ghamgin si hai betab si hai ummid yahan ek wahm si hai taskin yahan ek khwab si hai duniya mein khushi ka nam nahin duniya mein khushi nayab si hai duniya mein khushi ko yaad na kar ai ishq hamein barbaad na kar
This is a great ghamgeen shayari urdu. True lovers of funny aankhen shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore india ki jeet shayari. Please share if you liked this!!!