ai mere khwab hunar-khez riwayat ke amin inkishafat ki daryuza-gari chhod bhi de gard-e-hangam mein tartib se rakh aankh ki khasta fasilon se gire khisht-mizaj un chune zard gulon se dhake kuchh sokhta pal samt ka koi tayyun to nazar mein thahre ai mere khwab mere sath na chal mujhe darpesh hai la-samt samaj ek virani tamashe mein gundhi ye tamasha nahin paband-e-charagh gard ne rakht-e-safar aankh ka chhal ghar kahan hai koi ghar mein thahre ai mere khwab minaron pe parinde utre jaane kis khauf se jangal se palat aae hain dar hai ye surkh aqiqon ko nigal jaenge sansanati hui tanhai mein ghir jaenge un ko darpesh hai ab hijr ka thal is kharabe mein bhala kaun safar mein thahre