ai ruKH-e-yar idhar dekh zara

hum ki wamandagi-e-shauq ka lamha le kar
aa gae hain tere paikar ke ujalon ke qarib

kitni sadiyon ki masafat le kar
ek darmanda tahi-dast musafir ki tarah

aa ke thahre hain tere pyar ke bargad niche
hum ki mashur tilismat-kade hain tere

teri aankhon tere honton teri zulfon ke asir
teri tamanna ke faqir

muntazir hain ki tere jism ka partaw ubhre
aur raushan hon takhayyul ki wo rahen jin par

kab se phaili hui gumnam si tariki hai
yun simat jae mere bakht pe utri hui raat

nur chhan kar tere paikar ki tunuk-tabi se
meri be-nur si duniya ko munawwar kar de

mere khwabon ko haqiqat kar de
ai rukh-e-yar idhar dekh zara

mere dil-dar idhar dekh zara
jis ka ek umr tamannai raha

apne gul-rang se jalwon ke tufail
mujh ko wo kaif wo ranai de

ek be-nam se rishte ko pazirai de
ab to ek lams-e-masihai de

hum ko ai jaan-e-jahan itni ijazat de de
jis ghadi sham dhale

teri gesu ki tarah shab ki hasin zulf khule
tere aanchal ka kinara le kar

ek be-nam sahaara le kar
apni betab tamannaon ki girhen kholen

tere zanu pe ye sar rakh ke
do aansu ro len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close