ai urus-e-bambai sad-haif piron ka shikar qafile piron ke baithe hain qatar-andar-qatar har gali ki mod par ek pir hai baitha hua puchhta hai jis se har ek zindagi ka rasta masjidon mein but-kadon mein aur mai-khanon mein pir koh mein gulzar mein basti mein viranon mein pir jis taraf nazren uthin piron ka ek sailab hai saikdon piron ke andar aadmi nayab hai bambai mein gham-gusar-e-zindagi milta nahin pir to milte hain lekin aadmi milta nahin pir wo jo race ke ghodon pe rakhte hain nazar wahi nazil hoti hai satte ki jin ke qalb par ahmaqon ko aur bhi ullu banane ke liye aae hain duniya mein jo satta batane ke liye aap ki tauhin hai gar kuchh bhi mehnat kijiye ek bidi dijiye satte ka number lijiye par hai beda jo kar le koi piron par yaqin naukri aulad paise ka koi danda nahin hoshiyar in rahzanon se ai urus-e-bambai tere rukhsaron ki kam hone lagi hai raushni teri naslon mein jawan piron ki baaten jaengi aql ke hote hue bhi rang apna laengi zindagi ka rasta is tarah mil sakta nahin ghuncha-e-ummid in piron se khil sakta nahin chhod de lillah ab ye pir-bazi chhod de but-shikan fitrat hai teri in buton ko tod de haif tujh ko zindagi ka rasta milta nahin pir milte hain tujhe lekin khuda milta nahin