ai zamistan ki hua tez na chal is qadar tez na ho mauj-e-subuk-khez ki rau kahin ashjar ke khemon ki tanaben kat jaen zard patte hain abhi gulshan-e-hasti ka singhaar kah rahi hai ye abhi ahd-e-guzashta ki bahaar rang-rafta hun magar aaj bhi taswir mein hun murtasim hain meri shakhon pe meri yaad ke chand main hanuz apne khayalat ki zanjir mein hun abhi patton pe chamak uthta hai rangon ka ghubar abhi shakhon mein lahak jati hai bulbul ki pukar barg-rizan se kaho shahar se bahar thahre shahar ke bagh se bustan-e-dabistan se pare barg-e-larzan mein tadapta hai abhi zauq-e-numu par-e-taus mein hai raqs ki khwahish ab bhi abhi karta hai chaman chaak-e-gareban ko rafu yun to qanun hain fitrat ke atal ai zamistan ki hawa tez na chal sai-e-malbus mein hain kitne nagon bakht-e-zabun zindagi jin ke liye sahn-e-saman-posh nahin dur ke des se aai hui utran ke liye mard-o-zan kucha-o-bazar mein ruswa hain abhi jaise ho qahr-e-mujassam teri yakh-basta jabin teri aahat mein ho jaise kisi dahshat ka payam teri dastak se larazte hain makan aur makin wo makan jin ke dar-o-baam dar-o-baam nahin wo makin jin ke liye ishrat-e-ayyam nahin jin ke lahjon mein nahin lazzat-e-guftar ka rang jin ki aawaz mein hain tira-nasibi ke azab jin se tahzib liya karti hai jine ka khiraj jin ki har sans hai andesha-e-farda ka nisab is qadar tund na ho dekh sambhal ai zamistan ki hua tez na chal