ai zohra-jabin nach meri zohra-jabin nach lenin ki qasam aaj tu diwana bana de han meri nigahon se nigahon ko mila kar resham se ye gesu mere shanon pe bichha de le dekh ki laya hun nai qism ke bunde kal reshmi sari bhi teri nazr karunga biwi meri bimar hai achchha hai ki mar jae ab main teri zulfon hi ke sae mein jiyunga han jam utha jam ki karta hai ishaare ye abr ye bal khati phuwaron ka tarannum kis naz se rah rah ke chamakti hai ye bijli jaise tere tarshe hue honton pe tabassum ye tere madhur git ye pael ki chhama-chham hai in ki badaulat hi meri garmi-e-afkar ye seb se rukhsar ye baadam si aankhen pate hain tawanai inhin se mere ash'ar ye tera kham-o-pech tere raqs ke andaz jaise kisi muflis ke tadapne ki ho taswir lenin ki qasam ye tere gesu-e-pareshan jaise kisi mazdur ki uljhi hui taqdir kam-zarf hain dete hain tawaif ke jo ta’ne ai zohra-jabin asl mein mazdur hai tu bhi lae jo tere pas khanakte hue sikke khidmat ko har us shakhs ke majbur hai tu bhi ghurbat ke ghata-top andhere mein meri jaan main surkh sawere ki damak dekh raha hun mumkin hai ki mil jae mujhe bhi koi ‘ohda ummid ki halki si chamak dekh raha hun mazduron ke jalse mein sunani hai mujhe aaj wo nazm mamule ko jo shahin se lada de stalin-o-lenin ki qasam jam ki saugand ai zohra-jabin pighli hui aag pila de mahki hui sansen meri sanson mein samo de sahba-e-shafaq-rang ki masti mein dubo de