ain-mumkin hai

'ain-mumkin hai dub jaen hum
hum jo kachche makan ke basi hain

dasht-e-be-asman ke basi hain
hum jo daman mein kuchh nahin rakhte

bebasi aur be-kasi ke siwa
apne aangan mein kuchh nahin rakhte

sakhti-e-'umr-o-muflisi ke siwa
hum ki wo dard-ashna jin par

'umr-bhar waqt mehrban na hua
aaj tak bakht mehrban na hua

hum jinhen zist ke gulistan se
rahaton ki hawa nahin aai

hum jinhen kucha-ha-e-yaran se
hamdami ki sada nahin aai

hum jinhen ulfaton ke raste mein
apni hi sadgi ne luta hai

har nai dosti ne luta hai
hum jinhen zindagi ka pas to hai

par jinhen zindagi se pyar nahin
hum jo har lahza muskuraate hain

par jinhen ek pal qarar nahin
ab tere khwab ko wafa karne

su-e-sahil chale to hain lekin
'ain-mumkin hai dub jaen hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close