kuchh kahna hai aur kuchh na kahe chale jaana ye kab tak chalega tumhaara hum par yun mar mar ke jiye jaana aisa kab tak chalega ye jo tum nae bahanon se hamein dekhne aate ho sab samajh aata hai hum tumhein dekh len aur tumhaara be-sakhta munh pher jaana aisa kab tak chalega lo aa gae tumhaare dost phir qasid ban aashiq ka haal bura hai in ka ye mujhe batae jaana aisa kab tak chalega main ne to kabhi nahin roka tumhein mera hath thamne se tumhaara har roz itne qarib se guzar jaana aisa kab tak chalega nahin jaante tumhaari kya hai hasrat to ye jaan-bujh kar shairi mein apni sab kahe jaana aisa kab tak chalega tum se nahin hota to ek qadam main hi aage badhati hun 'git' ab tera ye ek qadam aage badha do pichhe ho jaana aisa kab tak chalega