ajanmi beTi

tu ne aane na diya duniya mein
main tere jism ka hi hissa thi

is tarah kyun mita diya mujh ko
main mohabbat ka tere qissa thi

mujh ko hisson mein bant dala tha
kitne tukdon mein kat dala tha

mere hone se hota kya nuqsan
noch li kyun ye tum ne nannhi jaan

mere hone se kya kami hoti
main tere ghar ki laxmi hoti

kuchh muqaddar nahin tha kya mera
kya mujhe haq nahin tha jine ka

bant leti main teri har mushkil
teri aasan zindagi hoti

hath banti kabhi main panw tere
main tere ghar ki raushni hoti

bojh kyun betiyan samajhte hain
hae ye duniya wale kaise hain

betiyan hi lagengi jab bhaari
khatm phir kaenat hai sari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close