ajib log hain sahra mein shahr mein ghar mein sulagti ret pe thithure hue samundar mein khala mein chand ki banjar zamin ke sine par jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap talluqat ki tamir karte rahte hain hawa ke dosh pe tufan zalzala sailab diya-salai ki tili pe tank atom bam koi julus koi poster koi taqrir umadti bhid ka har wote koi ballot box phisalti kursi ka jadu bason ki lambi queue, kahin pe sehn mein gobar kahin pe gae ka sar har ek gosha hai shamshan qabr hai bistar akela phirta hai sunsan shahr mein curfew qarib ghur pe chithdon mein jism ke tukde mahakti raat se janmi hui fasurda-subh bigadte bante hue zawiye khisakti int tamam silsile be-rabt munqate rishte magar wo daudte pairon pe uthte badhte hath har ek jabr se be-khauf be-niyazana jo subh o sham ki be-rabt rah mein chup-chap talluqat ki tamir karte rahte hain ajib log hain
This is a great bam bhole shayari. True lovers of shamshan ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore shayari box. Please share if you liked this!!!