ajib ma-fauq silsila tha shajar jadon ke baghair hi ug rahe the kheme baghair chobon ke aur tanabon ke aasare ke zamin pe istada ho rahe the charagh lau ke baghair hi jal rahe the kuze baghair mitti ke chaak par dhal rahe the dariya baghair pani ke bah rahe the sabhi duaen girafta-pa thin ruki hui chizen qafila thin pahad barish ke ek qatre se ghul rahe the baghair chabi ke qufl az-khud hi khul rahe the nidar piyaada the aur buzdil asil ghodon pe baith kar jang lad rahe the gunahgaron ne sar se pa tak badan ko burraq chadaron se dhaka hua tha wali ki nangi kamar chhupane ko koi kapda nahin bacha tha ajib ma-fauq silsila tha