ajib qissa hai jab ye duniya samajh rahi thi tum apni duniya mein ji rahi ho main apni duniya mein ji raha hun to hum ne sari nigahon se dur ek duniya basai thi jo ki meri bhi thi tumhaari bhi thi jahan fazaon mein donon ke khwab jagte the jahan hawaon mein donon ki sargoshiyan ghuli thin jahan ke phulon mein donon ki aarzu ke sab rang khil rahe the jahan pe donon ki juraton ke hazar chashme ubal rahe the na waswase the na ranj-o-gham the sukun ka gahra ek samundar tha aur hum the ajib qissa hai sari duniya ne jab ye jaana ki hum ne sari nigahon se dur ek duniya basai hai to har ek abru ne jaise hum par kaman tani tamam peshaniyon pe ubhrin gham aur ghusse ki gahri shiknen kisi ke lahje se talkhi chhalki kisi ki baaton mein turshi aai kisi ne chaha ki koi diwar hi utha de kisi ne chaha hamari duniya hi wo mita de magar zamane ko haarna tha zamana haara ye sari duniya ko manna hi pada hamare khayal ki ek si zamin hai hamare khwabon ka ek jaisa hi aasman hai magar purani ye dastan hai ki hum pe duniya ab ek arse se mehrban hai ajib qissa hai jab ki duniya ne kab ka taslim kar liya hai hum ek duniya ke rahne wale hain sach to ye hai tum apni duniya mein ji rahi ho main apni duniya mein ji raha hun!