ajnabi farmaish

ajnabi tujh se talluq ka sila khub hai ye
teri khwahish hai ki har roz nai nazm likhun tere nam

meri koshish bhi ajab hai lekin
rose taza nae jazbaat kahan se laun

kore alfaz ki saughat kahan se laun
khushk aankhon ke katoron se main barsat kahan se laun

ajnabi tu hi bata nuskha-e-nayab koi
ajnabi mujh ko dikha khitta-e-shadab koi

barg-e-awara ki surat hun hawa ki zad par
main ki raqsa hun abhi garm bagulon ke sath

ajnabi tu bhi mere raqs-e-falak-rang mein shamil ho ja
shairi kya hai meri jaan ka hasil ho ja

tu mera jism qaba tu meri ruh ki pur-nur ghiza
shahd se mithi mare lab ki dua

ajnabi kaun hai tu mere siwa mujh se juda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close