ye kis ne meri nazar ko luta har chiz ka husn chhin gaya hai har shai ke hain ajnabi khat-o-khal badhte chale ja rahe hain har samt mauhum si be-rukhi ke sae kuchh is tarah ho raha hai mahsus jaise kisi shai ka naqshm-e-manus aa aa ke qarib laut jae begana hun apne aap se main aur tu bhi hai dur dur mujh se kuchh aise bikhar bikhar gae jalwon ke sametne ko goya aankhon mein sakat nahin rahi hai kya tu ne koi naqab ulta ya aaj koi tilism tuta! ye kis ne meri nazar ko luta har shai ke hain ajnabi khat-o-khal