ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana mein teri mang sitaron se nahin bhar sakta tere daman ko bahaaron se nahin bhar sakta meri be-rang fazaon mein kahan sham o sahar mere tarik gharaunde mein kahan tera guzar mere sahra se gulistanon ki ummid na kar ujdi duniya se shabistanon ki ummid na kar ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana meri khatir ye mahl aur ye mehrab na chhod khwab-gahon ke masarrat se bhare khwab na chhod raushni chhod ke dar aa na siyah-khane mein shama raushan ho bhala kyun kisi virane mein main tujhe koi hasin taj nahin de sakta kal to kal hai main tujhe aaj nahin de sakta ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana