aks By Nazm bahs to apni hi nahin >> jab bhi dharti ka koi hissa tumhein chup sa dikhai de to us ki khamushi ko be-hisi ko nam mat do sard gahri khamushi ka karb samjho us ke sine mein dabe lawe ki zinda dhadkanon ka aks mumkin hai tumhein khud apne aadarshon mein rah rah kar nazar aae Share on: