kaise banai tu ne ye kaenat pyari hairan ho rahi hai aql-o-khirad hamari kaliyan mahak rahi hain eajaz hai ye tera khushbu kahan se aai ek raaz hai ye tera bulbul ke chahchahon ne hairan kar diya hai insan ke qahqahon ne hairan kar diya hai shashdar hun dekh ke main udte hain kaise panchhi dariya mein dekhta hun jate hain kaise manjhi kis tarah be-sutun ye tu ne falak banaya aanchal ko tu ne us ke baron se jagmagaya kis tarah ki hain paida barsat ki ghataen kis tarah chal rahi hain pur-kaif ye hawaen dariya pahad jangal kis tarah ban gae hain ye baat aql wale har waqt sochte hain kis tarah tu ne maula insan ko banaya aksar main sochta hun kaisa hai tu khudaya