subh se main us ghadi ki tik tik sun raha hun jo diwar se achanak ghaeb ho gai hai lekin har ghante ke ikhtitam par alarm dene lagti hai aur phir tik tik tik kabhi kabhi ye tik tik mujhe apne sine mein sunai deti hai kabhi kalai ki nabz mein phir to jis chiz ko utha kar kan se lagata hun wo tik tik karne aur alarm dene lagti hai achanak main apne aqab ki diwar ko dekhta hun wahan mujhe ye ghadi diwar par aundhi chipki dikhai deti hai samne ki diwar se ye aqab ki diwar par kaise aa gai aur us ki suiyan aur dial diwar se chipak kaise gae jaise us ka waqt diwar ke us par ke liye ho main barabar ke kamre mein jata hun ab mujhe waqt dikh raha hai lekin ghadi ghaeb hai ab na us ki tik tik hai na alarm main ne chaha ki chizon ko chhu kar dekhun thik us waqt mujhe andaza hua main chizon ko dekh sakta hun chhu nahin sakta is kamre mein to main khud ulti hui ghadi hun ye kamra aur wo kamra do alag alag ikaiyan hain unhen ek nahin kiya ja sakta bas us kamre mein thodi der ke liye jhanka ja sakta hai main wapas apne kamre mein aa jata hun wahan jahan main har chiz ko chhu sakta hun aur har chiz mein waqt ki ye tik tik sun sakta hun chahe samne ghadi ho ya na ho