ham-nashin raat ki maghmum khamoshi mein mujhe dur kuchh dhimi si naghmon ki sada aati hai jaise jati hui afsurda jawani ki pukar jis ko sun sun ke meri ruh laraz jati hai jaise ghatti hui maujon ka utarta hua shor mutriba jaise koi dur nikal jati hai ya hawaon ka tarannum kisi virane mein jaise tanhai mein doshiza koi gati hai main bahut ghaur se naghmat suna karta hun sach to ye hai ki meri jaan pe ban jati hai bar bar uth ke main jata hun sadaon ki taraf lekin ek shai hai jo wapas mujhe le aati hai chaunk uthta hun jab us khwab se hairan ho kar phir mujhe dusri duniya hi nazar aati hai aah, wo bhuk ke mare hue afrad hansen jin ki surat pe qanaat bhi taras khati hai jaise ujdi hui mahfil ke kuchh afsurda charagh raushni mein jinhen har gam pe thukraati hai aah wo hazrat-e-insan hi ka dard o sitam jis ka izhaar bhi karte hue sharm aati hai wo tarane jo suna karta hun tanhai mein un taranon mein mujhe bu-e-wafa aati hai gaunga naghme wo tamir-e-mohabbat ke liye mai-kada chhod diya jin ki ishaat ke liye
This is a great faraz shayari on waqt. True lovers of hazrat yousuf shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore most ghatiya shayari. Please share if you liked this!!!