aligarh

aligarh hai yahan ai dost kya paya nahin jata
yahan wo kaun sa show hai jo dikhlaya nahin jata

ye ilm-o-fan ka gahwara hai tahzibi idara hai
nazar mein ye hamari to siyasat ka akhada hai

har ek shoabe mein paoge yahan tum parti-bazi
yahan rahti hai aapas mein hamesha tarki-o-tazi

khuda ke fazl se ahl-e-hunar hain ahl-e-fan sab hain
magar dedh int ki masjid banane mein magan sab hain

yahan aasar baqi hain abhi jagir-dari ke
muhafiz pae jate hain abhi sarmaya-dari ke

ghazab ke hain jo yahan ke inqilabi hain
yahan jo ishtiraki hain samajh lo bas kitabi hain

yahan mazhab ke thekedar bhi milte hain bahtere
yahan lath-baz-o-chaqu-mar bhi milte hain bahtere

aligarh ke kisi function mein gar tashrif le jaen
jo fiqre-baziyan hongi na un se aap ghabraen

khuda-na-khwasta ghande lafange aur na lachche hain
ye talib-ilm collage ke sharifon ke ye bachche hain

faqat qaumi riwayat ka ye apni pas rakhte hain
koi parwa na kije ye faqat bakwas rakhte hain

har ek mahfil mein hoti hai yahan hangama-arai
ki achchhe achchhe ilm-o-fan bante hain saudai

yahan ahl-e-aligarh jo bhi subh-o-sham karte hain
bade laeq hain sir-sayyad ka uncha nam karte hain

yahan ki begamen bhi ek nirali shan rakhti hain
numud-e-zahiri ka har qadam par dhyan rakhti hain

padhi-likkhi hon ya an-padh yahan donon barabar hain
jo mauzu-e-sukhan suniye to kapde aur zewar hain

alawa is ke ya to naukaron par nauha-khwani hai
nahin to ghibaten hain shaikhiyan hain lan-tarani hai

samaji mashghalon mein ya to hain shadi ki taqriben
nahin to mahfil-e-milad wo majlis niyaz aur nazren

kahin hai ijtima tablighiyon ka ek kothi mein
to hai shion ki majlis aur raqaim dusre ghar mein

zara jo modern thahrin wo hain filmon ki shaidai
nai taswir jo aae to goya in ki ban aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close