purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai amir-e-shahr raaton ko badal kar bhes galiyon mein phira karta wo diwaron pe likkhi har nai tahrir ko padhta sarae mein har ek nau-warid-e-shab se safar ka majra sunta gharon ki chimniyon ko dekh kar andaza-e-nan-e-jawin karta pareshan-haaliyon se ba-khabar rahta mazaron maqbaron ki chaukhaton ko chumta aur shab gae masjid mein aata subh tak yaad-e-ilahi mein basar karta hua ek raat yun chaaron taraf dariya umad aaya koi jaga nahin tanha amir-e-shahr ke bazu fasil-e-shahr ki buniyaad ko thame rahe shab bhar badan ki dhaal se sailab ko roke rahe shab bhar suna hai phir kabhi dariya ki tughyani fasil-e-shahr ko dhane nahin aai amir-e-shahr ki neki zamane tak khata-karon ke kaam aai