apna ghar

suraj chand sitare
faza ki qaus mein tange

hare moti jawahar panne
aasmanon ki la-mahdud khala mein chamakti damakti dewtaon ki mehrban nuri aankhen

wahin kahin
unhin ke mabain hai

mera ghar
mere abba ki haweli

jis ke aangan ke khamosh be-awaz naghme
zina zina utar aae dharti par aur

aa jame
mere dil ko khali aur viran pa kar aur

gahri atut samadhi mein ram kar yugon wahin baithe rahe
meri aankhon ka nur-o-surur

mere kanon ka sangit
mere honton par machalti dhunen

unhin ki tausia hain
masarrat ke nashe mein

mahak mahak uthte hain mere qalb-o-jigar aur
chahak chahak kar gungunate hain

apne aabai git
jo mafhum se mawara hain

jin mein dhun to hai
shabd nahin

in gunge naghmon ka jadu
khol deta hai wo dayar

jin ke pichhe chhupa mera mahbub
tab se mera muntazir hai

jab se main us se ruth kar zindagi ki talash-e-beja mein is dharti par chala aaya tha
phir kisi din

kisi ek mubarak saat mein jo us ne pahle hi se nirdhaarit kar rakhi hai
janam-janmantar ki us ki samadhi tutti hai aur wo aankhen kholta hai

muskura kar meri aankhon mein jhankta hai
pahchan liya na hum ne tujhe bhagode

chal ab ghar chalen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close