raushni ke khambe ke niche main ne apne sar ko apne qadmon mein ulajhte dekha sirf andhere hi aadmi ko pareshan nahin karte tez raushni ke niche bhi agar aadmi sakit khada rahe to us ka sar us ki tangon ki salakhon se aazad nahin ho sakta main ne ek qadam badhaya mera sar pairon ki qaid se chhut gaya main qadam uthata raha mera qad badhta raha