apni apni diwaren

mere aage pichhe aur
daen baen concrete hai

main chalun to panw ke niche concrete hai
shahr mein nikalte hi

chauk-o-nukkad mein concrete ke paikar
aisa lagta hai concrete mujhe gher rahi hai

ghar ki chaar-diwari mein concrete hai
chhat concrete ki hai jo aksar mujh par

istehzai qahqahe lagati hai
aasman ka buland-o-baala kalas

lagta hai concrete mein ulajh kar rah gaya hai
mujhe lagta hai

chaaron taraf se concrete ke dew
dhire dhire meri jaanib badh rahe hain

main chikhna chahta hun aur bhagna chahta hun
ek din main ne koshish ki

apne hamsae ko aawaz dun
please mujhe yahan se nikalo

mera dam ghut raha hai
lekin meri aawaz us tak na pahunch saki

wo bhi to apni concrete ki diwaron mein qaid hai
aur chikhen concrete ko par nahin kar saktin

hum sab apni apni diwaron ke qaidi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close