main nauha likhta hun apne khaliyon ke chhalni khwabon ai sar-zamin-e-hawas mein phaile sarab-asa khile gulabon ka manzaron ke lahu mein ghulti ghaliz mitti ki baaton ka mere wajud siyah-bakhti mein ujde ashkon ke gard sae qafas bane mein main daeron ke mahin taron ki na-tamami mein resha resha simat gaya hun kahaniyon ke dabiz pardon ki tah mein uryan tumhaari aankhon ki muskurahat azab ban kar mere safar ki har ek manzil mein aa chhupi hai main nauha likhta hun zard sochon ka kali sanson ka apne honton ke shamsi lafzon ka zaiqon ka tumhaare sine pe kundali mare jo sanp baitha hai us ki khuni zaban ka nauha khud apne baatin ke khushk sahra mein ujle taron ki tabnaki ka khwahishon se bhari hawaon ki kaenaton ka nauha likhta hun nauha-khwan hun