kal sham nahr ki patri ke sath sath main apne na-tawan kandhon par ek shikasta bori uthae ja raha tha ki chikh-o-pukar shurua hui pakdo pakdo qatil qatil nahr par mutayyan police chauki ke mustaid amle ne sanginon se mera taaqub kiya main apni tamam-tar quwwat se bhagne ke bawajud chand hi lamhon mein un ki aahani giraft mein tha police chauki mein sawalon ki bochhad se meri quwwat-e-goyai jawab de gai ek makruh surat monchhon wala ba-wardi shakhs wahshat-nak aankhon se amle ki taraf dekhte hue apni shadid karakht aawaz mein chikha bori ka munh kholo sara amla shashdar rah gaya ki bori mein lipti hui lash meri hi thi aur main chup sadhe use tak raha tha