arabchi so gaya hai tulani faslon ki thakan se maghlub ho gaya hai khabar nahin hai use kahan hai bas ek lambe kate-phate na-tarash raste pe chobi gadi azal se yunhi abad ki jaanib rawan-dawan hai zara se jhatke se charcharaati hai jab to bosidgi ki lakhon tahon mein lipta har ek zi-ruh chaunkta hai arabchi khwab dekhta hai wo shah-zadi ka hath thame sunahri rath mein sawar ho kar ajab jahanon mein shubh zamanon mein kho gaya hai arabchi so gaya hai!