purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai husain-abaad sara taziya-daron ki basti thi moharram ke dinon mein sham hote hi husain-abaad ke mard-o-zan kale libason mein aza-khanon ke dalanon mein shab bhar marsiya padhte saf-e-matam bichhate aur apni chhatiyon ko lal kar lete nauwin ki shab wo sab apne gharon se aag late aur dahakti aag ki chaaron taraf inten bichha dete hazaron aankhen mushtaqana ek jaanib ko uth jatin faza mein gunj si hoti koi nara lagata aur husain-ibn-e-ali ka nam le kar aag ki inton pe yun chalta hua aata ki jaise farsh-e-gul ho ya koi sabze ki chadar ho wo phir nara lagata daudta bijli ki tezi se muqaddas aayaton wala alam hathon mein le leta kamar se apni kas leta hazaron log us ke gard halqa bandh lete aur use kashf-o-karamat ka khazina jaan kar apne dilon ka muddaa kahte wo paiham aag ki inton pe yunhi nachta rahta muradon minnaton ka majra sunta magar jab aag ki inton ki surkhi mand ho jati to sare log halqa tod dete aur muqaddas aayaton wala alam is shakhs ke hathon se le lete aza-khanon ke dalanon mein wapas laut kar aate saf-e-matam bichhate aur apni chhatiyon ko lal kar lete