jab nur ke parde se hata parda-e-zulmat jab subh ke mathe se miti gard-e-khurafat pau phutne wali thi to mashriq tha hinai milne ko thi duniya ko shuaon ki badhai sahmi hui utri to thi aakash se shabnam ghunchon ko tabassum ka wo paigham thi taham kaliyon ko jo badmast hawa chum rahi thi is chhed par har shakh-e-chaman jhum rahi thi chidiyon ki chahak dur se deti thi sunai udne ki jasarat abhi un mein na thi aai sabza kahin chup-chap guhar rol raha tha gul hans ke kahin band-e-qaba khol raha tha fitrat ke pujari bhi bahut jag chuke the sairon ke liye log bhi kuchh bhag chuke the taqdis ke paband bhi ganga ke kinare jate the kahin tez kahin sust bechaare puja koi karta tha tilak koi banata jal hath mein leta koi mathe pe lagata itne mein numayan hua ek paikar-e-nuri qadmon mein shafaq jis ke padi bahr-e-huzuri sanche mein dhale jaise ki andam the sare lapke wo qadam chumne bahte hue dhaare bojhal thi palak nind ke be-sakhta-pan se chhutti thi kiran jaise ki har mu-e-badan se thaali jo uthae thi to dil walon ko mahmez mahjub hua dekh ke khurshid-e-sahar-khez sari ki sanbhaale hue chutki se thi chunan badhti thi use dekh ke har qalb ki dhadkan dariya mein dhare panw bade naz-o-ada se pariyan si lapakne lagin pani ki rida se ruk ruk ke jo do-chaar qadam aur badhae chunan ko sanbhaale hue thaali ko uthae nazrana diya phul ka amwaj ko us ne thaali ko liya khadima-e-khas ne badh ke phir aab-e-muqaddas mein jo dubki si lagai badli si zara der ko mahtab pe chhai pani se pari par ko jhatakti hui nikli andam-e-gul-andam se lipti hui sari moti se baraste the har ek mu-e-siyah se shabnam ke wo qatre the kanwal par jo pade the wo mast-e-khiram aai usi taur gai bhi par barq-e-tapan khirman-e-hasti par giri bhi