aur pani thahar gaya aankhon mein chehra siyah hua aur aankhen phail gain aur aankhen phail gain aankhon mein hona gunah hua us din sare likhne wale ghar aae aur lut gae aur sab ki aankhen thahar gain aur sab ka chehra phail gaya mahi-giron ne us din be-andaza jal bune aur bachche bhuke hi soe aur maen bistar ban kise chup let gain aur jab mahi-giron ki basti mein raat aai sab jal samete ghar aae aur laut gae aur sab ki aankhen thahar gain aur sab ka chehra phail gaya ye raat samundar par se ho kar aai thi so beach samundar thahar gai us raat ki jis ne baat likhi wo ghar na gaya wo beach samundar thahar gaya wo mitti ki zanjiron se aazad hua so aane wala kal jo nahin hai us ka hai jab barf saron par aaegi tum jagoge aur pichhle uni moze kaam na denge aur shaalen sarsar khulti jaengi aur biwiyan dar kar uthengi ai pichhli rut ke chalne wale lut chalo murde mardon ko khud dafn karenge jab bache shakhon par palte hon barish ka kya khauf han barish sagar ka pahla harkara hai aur kilon ki ye jodi ladke kal tak sath na degi wo aankhen miche hansti hai aur soti hai ladke jaldi ghar aa jaana pani thahar gaya hai aur ladka ghar na gaya wo ladka ghar na gaya aur dekhne walon ne dekha wo barf ke tude khinchta tha aur rota tha aur ghar pani ke beach jhakole khata tha pani jo thahar gaya