aur phir chand nikalta hai aur phir sara shahr simat kar tere ghar ka aangan ban jata hai aur sham se pahle so jaane wale bachche jag uthte hain aur main tere sath na jaane kis kis ghar mein jata hun kin kin logon se milta hun aur tu sath nahin hota hai aur mein tanha hi rahta hun aur yun pichhli raat ka pila chand meri dahliz pe kachcha sona bikhraata hai bhule-bisre chehre aankhen malte uthte hain aur main thande darwaze se lag kar so jata hun agle din main kho jata hun aur phir chand nikalta hai aur phir sara shahr simat kar tere ghar ka aangan ban jata hai aur phir main so jata hun