aur ye insan jo mitti ka ek zarra hai jo mitti se bhi kam-tar hai apne liye dhunde to us ke sare sharaf sachchi tamkinon mein hain lekin kya ye takrimen milti hain zar ki chamak se tahzibon ki chhab se saltanton ki dhaj se nahin nahin to phir kyun mitti ke is zarre ko sajda kiya ek ek taqat ne kya us ki rifat hi ki ye sab taskhiren hain main batla dun kya us ki quwwat aur kaisi us ki taskhiren main batla dun qahir jazbon ke aage bebas hone mein mitti ka ye zarra apne aap mein jab mitti se bhi kam-tar ho jata hai sunne wala us ki sunta hai sunne wala jis ki sune wo to apne mitti hone mein bhi anmol hai