autograph

khiladiyon ke khud-nawisht dastakhat ke waste
kitabche liye hue
khadi hain muntazir hasin ladkiyan
dhalakte aanchalon se be-khabar hasin ladkiyan
muhib phatakon ke dolte kiwad chikh uthe
ubal pade ulajhte bazuon chatakhti pisliyon ke pur-hiras qafile
gire badhe mude bhanwar hujum ke
khadi hain ye bhi raste pe ek taraf
bayaz-e-arzu ba-kaf
nazar nazar mein na-rasa parstishon ki dastan
laraz raha hai dam-ba-dam
kaman-e-abruwan ka kham
koi jab ek naz-e-be-niyaz se
kitabchon pe khinchta chala gaya
huruf-e-kaj-tarash ki lakir si
to tham gain labon pe muskurahaten sharir si
kisi azim shakhsiyat ki tamkanat
hinai ungliyon mein kanpte waraq pe jhuk gai
to zar-nigar pallwon se jhankti kalaiyon ki tez nabz ruk gai
wo bolar ek mah-washon ke jamghaton mein ghir gaya
wo safha-e-bayaz par ba-sad-ghurur kilk-e-gauharin phiri
hasin khilkhilahaton ke darmiyan wicket giri
main ajnabi main be-nishan
main pa-ba-gil
na rifat-e-maqam hai na shohrat-e-dawam hai
ye lauh-e-dil ye lauh-e-dam
na is pe koi naqsh hai na is pe koi nam hai
This is a great shakhsiyat par shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close